Aaj facebook ka 12th birthday hai, isi moke par me aapko facebook ki ek behtarin trick batane ja raha hoo, or vo trick kai facebook ki desktop site mobail me kaise chalaye. Dosto is post ke baare me mujhe bahoot sawal bhi aaye the. Aapki kuch settings hoti hai jo sirf computer se hi hoti hai, ye post un logo ke liye bahoot jaroori jinke pass computer nahi hai. To aaj mene Facebook ki desktop site open karne ke liye 2 tricks ka istemal kiya hai or dono hi Facebook ki desktop site ko open karti hai.
First technique
Pahla tarika hai ki aap facebook.com par jakar logged in ho jao mobail site me.. phir usi browser se is link par jao.
Second technique
Mobail desktop ki limit
Agar aap Facebook.com par jate ho, or 1 st image wali site open hoti hai to aap Desktop site nahi chala sakte. Lekin agar aapki site 2 nd image ke jaisi open hoti hai to APL Desktop site open kar sakte hai. Aap niche di gayi image se samajh jayenge
Agar aapki dusri image jaisi site nahi open hoti to aap Chrome browser me m.facebook.com karke open kare. ( "m" ka matlab mobail site )
Kaise open kare Desktop site
Step 1: Sabse pahle aap m.facebook.com par chale jaiye.
Step 2: Ab menu ke is button par click kare. Jaisa image me diya hai.
Step 3: sabse niche Desktop site par click
kare.
Aapki desktop site open ho jayegi.
Final words: Agar aapko koi sawal poochna hai ya koi pareshani aa rahi hai to comment jaroor kare..or is jankari ko share kare apne dosto ke saath...
Comment karen
Replybahut hi achha he
Reply