YouTube account kese verify kare. Verification kitna jaroori hota hai



Aaj me bataoonga Youtube account ya channel verify kaise kare or ye itna jaroOri kyin hai. Dekhiye verification matlab hota hai siddhikaran ya satyapan matlab YouTube ye verify karna chahta hai ki jisne channel banaya hai vo kahi robot ya koi program to nahi or
kahi kisi ne ye channel kisi galat kaam ke liye ti nahi banaya hai. Youtube aake nomber dwara aapka verification karta hai or agar aapne koi galat kaam kiya to vo aapke number dwara aapke khilaaf kadam utha sakta hai. Chinta ki koi baat nahi Isse kai phayde bhi hai. Chaliye phaydi par nazar daalte hai...
YouTube account Verification ke kya phayde hai.

Longer videos - Sabse pahle to aap YouTube par 15 minutes se jyada videos ko upload kar sakte hai.
External Annotations - or bahri tippani ka option bhi enable ho jata hai.
Costume Thumbnails - iska matlab aap YouTube par apne video ka photo laga sakte hai. Aap ise video ka profile photo bhi bol sakte hai.
Unlisted and Private videos - aap apne video ko list se hata sakte hai ya unko private kar sakte hai.
Monetization - sabse main option agar aap YouTube se paise kamana chahte hai to aapka verify karna to pakka hi hona chahiye.
              Iske alawa bhi kai option hai jo aap enable kar sakte hai. to Dekha aapne ki verify karne ke kitne phayde ho sakte hai. To aaiye jaante hai ki kaise account verify kare. Agar aap ye mobail se karna chahte hai to aapko pahle mene is post me bata diya tha..yahan click kare

Step 1
Sabse pahle to aap Youtube.com par jaiye ( aapko ye dhayan rakhna hoga ki vo site desktop ki ho.)

Step 2
Ab aap Sign in ke button par click kijiye. Agar aap pahle se sign in hai to in do step 2 or step 3 ko rahne de.

Step 3
Ab apna Email ID dale password dale or sign in ke button par click kare.

Step 4

          1. Is image me diye hue 3 line wale menu ke button par click kijiye.
          2. My channel par click kare.

Step 5
Video manager par click karo

Step 6
Ab is  CHANNEL par click karo.

Step 7
Verify par click karo.

Step 8

          1. India salact kare.
          2. Ab Text me the verification coad par tick karna hai.

Step 9

          1. Apna number daale. [ apna number sahi se daale nahi to aapka SMS se coad kisi or ko chala jayega :) ]
          2. Submit par click kare.

Ab aapko apne phone number par SMS ya message se kuch is tarah ka coad aayega. ( isko next step tak note kar le ya yaad rakh le. )

Ye bhi padhe -

Step 10

          1. Ab mobail number par aaya hua coad dale.
          2. Ab Submit par click kare.

         Aapke click karne ke baad kuch is tarah ki notification aayegi jisme likha hoga ki aapka YouTube account verify ho chuka hai. 

Continue par click karenge to aapko bahoot sare feature jo mene aapko upar bataye the vo enable ho jayenge.
            Ummid hai aapko ye post acchi lagi hogi. Agar aapko ye post acch lagi to comment kare or dosto ko bhi share kare. Isi tarah hamse jude rahiye or sikhte rahiye Dosto...
             Dhanywad...

SHARE THIS

Author:

Hello Dosto, Mera naam Ritik Kadole hai. "Hindi Me Tek" meri dusri website hai. Pahli website ke safal hone ke baad ab me is website par aapko Technology se judi har nayi jankari di jayegi. Is jamane me Taza khabre pata hona jaroori ho gaya hai isliye is site par har tek (technology) ki khabar rozana di Ja rahi hai. Asha hai ki humari ye Website bhi safal ho. Dhanywad 👍...

Previous Post
Next Post