Aaj ka topic hai link ke baare me. Programming me ye to aapko aana hi chahiye. Iski madad se aap kisi bhi shabd me ya kahin bhi links add kar sakte hai.
Continue HTML lesson-4...
Links kya hai ?
Link aapko directly kisi page tak pahoochane me madad karti hai. Aap iske baare me to jaante hi honge. To chaliye ye jaan lete hai ki link ko HTML page me kaise jodte hai.
Iske liye ek naye tag ki or ek naye attribute ki jaroorat padegi. Aap is example se samajh jayenge
Ab to aap samajh hi gaye hoge. Jahan par aapne "Yahan click karo" likha hai wahan par click karne se aap us page tak pahoonch jaoge jiski aapne link "http://test.com" par dali hai. Aapko "http://" hamesha add karna padhega, nahi to link kaam nahi karegi.
Aapne dekha hoga ki is example me "herf" ka istmaal hua hai jiska poora naam "hypertext reference" hai.
Attributes ko "</a>" se close karna na bhoole.
E-mail address kaise add kare ?
Aap koi Email address bhi add kar sakte hai, or vo bhi link ki tarah hoga. In dono me sirf ek hi fark hai:
Jaisa ki aapne is example me dekha ki isme aap email address jod rahe hai, isme mailto attribute ka use karna na bhoole. Agar aap mailto ka use nahi Kare to ye email address kaam nahi karega.
Title/Heading me link kaise jode
Aap title/heading me bhi link ko add kar sakte hai. Is example se samajh jayenge.
Jaisa ki aapne dekha ki yahan "title" attribute ka istmaal bhi hua hai jiskj madad se aap, short description de sakte hai apni link ka.
Dosto aaj ke liye bas itna hi kyonki aage ka topic bahoot bada hai jo IMG tag ke bare me matlab image ke baare me hai. Aage ka topic jaroor padhiye dosto kyonki ye aapke bahoot kaam aane wala hai...
Agar aap chahte hai ki hamare naye topics ki jankari aapko milti rahe to aap niche diye gaye social follow buttons par click karke game follow kar sakte hai... jude rahiye INTERNET IN HINDI ke saath or sikhte rahiye programming.
Plzz apni koi id bta dyn plzz ap personly kuch puch chahta hun
Reply