Dosto me phir aapke liye le kar aa aaya hoi HTML ka khajana. Aple mene aapko HTML lesson-1 or HTML lesson-2 sikha diya tha, or ab aagaya hai HTML lesson 3. Aap isi tarah se saare lesson step by step sikhte rahe to aap poora HTTP jald hi sikh jayenge. Chaliye dosto aapki designing ko tarashne ke liye me aapka Lesson-3 continue karta hoo..
Pichli baar hamne bahoot saare tags or elements sikhe the. Aapne unhe try kiya hai ya nahi, agar nahi kiya to try jaroor kare. Isse aapka experience badhega.
In sab ko try karne ke liye aapke pass ek Blog hona chahiye. Jisme aap naya page banakar try kar sakte hai. Naya page create karne ke baad aap HTML par click kare pair uspar try kare.
Continue Lesson-3 :
<li> , <ul> or <ol> ka prayog.
In sab ka total prayog web-designing ke menu ki list banane ke liye hota hai. Sabse pahle jaan lete hai ki ek-ek prayog kis-kis liye hota hai.
ul ka matlab hota hai "unordered list", jiska prayog bullet ( - ) list ke liye hota hai.
ol ka pura naam "ordered list", jiska prayog numbers (1,2,3...) list le liye hota hai.
li ka pura maam "list" hai, or iska prayog list taiyaar karne ke liye hota hai.
Agar aap confused hai to example dekhiye.
Ab to aap samajh hi gaye honge.
Attributes kya hai ?
Ab hum janenge attributes ke baare me. Aap ek se jyada elements jodne ke liye attributes ka istemaal kar sakte hai. Jaisa ki aap jante hai ki elements HTML ko pura structure dete hai matlab unka aadhar hai, or browser ko batate hai ki aal apni site me kya present karna chahte hai.
Kuch elements me aap or bhi information add kar sakte hai.
elements me judi information ko hi attributes kahte hai.
Jaisa ki Aapkne is example me dekha ki h2 matlab subheading hota hai ye aapne pahle hi sikh liya tha, par isme kuch naya hai dekhiye isme agar aap style="background-color:#000000;"> add karke > ko uske aage lahgaye to iska background colors black ho jayega kyonki usme jo '#000000' hai vo black color ka HTML coad hai. Aise alag alag colors ke HTML coad alag alag hote hai. Ab usme jo background color hai vo is elements ka attribute hai.
Attributes hamesha tags ki first line me likhe jate hai or equal ke sign dwara follow hote hai. Attributes ki details hamesha inserted commas me likhe jate hai.
Ab hum janenge catch ke baare me
Catch kya hai ?
Bahoot alag alag types ke attributes hote hai.
Aapne pahla wala style attribute sikh liya hai.
Aapne pahla wala style attribute sikh liya hai.
Style layout se aap apni site par layout jod sajte hai.
Example ke liye background color:
Agar aap "#000000" coad add karte hai to aapka poora page black color ka ho jayega kyonkj isme poori body ka color aapne attribute se black kar diya hai.
Apane apne colors ka apna apna hexadecimal number hota hai
Yahan kuch example hai jaise :
White: #ffffff
Black: #000000
Red: #ff0000
Blue: #0000ff
Green: #00ff00
Yellow: #ffff00
White: #ffffff
Black: #000000
Red: #ff0000
Blue: #0000ff
Green: #00ff00
Yellow: #ffff00
In coads me # lagana jaroori hota hai. Iska matlab hai number.
In saare coads ko HEX matlab hexadecimal numbers kahte hai.
Kuch tags or attributes English ( US ) spellings ka prayog karte hai colours ke liye agar aap black color coad ki jagah "black" bhi daal doge to aapka coad kaam karega.
Par aapko spellings sahi dalni hogi, agar aap galat dalte hai to browser nahi samajh payega ki aap usko kya order de rahe hai.
Or inverted commas ko attributes ke baad band karna na bhoole.
Aage ka hum agle lesson me padhenge. Aap in sab ko try karte rahiye or sikhte rahiye HTML coding with INTERNET IN HINDI...
Continue HTML Lessons-4
Continue HTML Lessons-4