Blog post me Background colour kaise badle. How to change Background colour in Blog post.

Agar aapne abhi tak apni Blog/Website nahi banai hai to yahaan click karke bana lijiye...


Hum apne blog ko intresting banane ke liye bahut kuch karte hai or har ek chij ka dhyaan bhi rakhte hai. Dosto aaj me aapko batane ja rahoo Blog ke har ek post me different background kaise use karte hai. aap har ek post me alag alag colors ke background use karke apni posts ko aur bhi intresting bana sakte hai, Isse aapki blog jo hai vo ek naya roop le legi. Aapki blog colorful ho jayegi or koi bhi aapki blog par dubara aana chahega or aapko bhi blogging me maza aayega. Aap isne image bhi use kar sakte hai background ke roop me. par vo me aapko baad me bataoonga. Me aapko saath me HTML bhi sikha dunga jisse aap ise acche se samajh sake . Vaise aapne HTML lesson-1 or HTML lesson-2 padhe ki nahi . Agar nahi padhe to jaldi padhiye isse hi aapko saari coding samajh me aayegi or aapki blog ko isse bahoot phayda bhi hai..

                Agar aapne auto-read more function enable karke rakha hai to ho sakta hai ki ye usme kaam na kare.  ab ye jaan lete hai kaise hum alag alag colors ke background aasani se use kar sakte hai. Agar aapne post publish bhi kar di hai to background badalne se koi phark nahi padhega. Aap baad me bhi ise badal sakte hai or update kar sakte hai.

        To aaiye sikhte hai ye kaise hota hai.

Step 1 : Aapke blogger account me login kare, or 'New post' par click kare.



Step 2 : Aapki post likhne ke baad aap usme is coad ko apply kijiye matlab jo poorana coad hai usko aap is coad se badaliye ya replace kijiye. Jyada janne ke liye image dekhiye :

<div style="background-color:#444; color: #fff; padding: 10px;">
Aapke content yahan aayenge...
</div>



Note : Aap jo bhi background colors lagana chahte hai, uska colour coad aap blue aksharo me likhe coad se badal sakte hai. Agar aapko Text ya content ka colour badalna hai to aap green coad ko manpasad colour coad se badaliye.

       Dosto aapko ye post kaisi lagi mujhe jaroor bataiye. Agar aapko is post se related koi bhi sawal ho to comment karke bataye. Or hamare saath Sikhte Raho

SHARE THIS

Author:

Hello Dosto, Mera naam Ritik Kadole hai. "Hindi Me Tek" meri dusri website hai. Pahli website ke safal hone ke baad ab me is website par aapko Technology se judi har nayi jankari di jayegi. Is jamane me Taza khabre pata hona jaroori ho gaya hai isliye is site par har tek (technology) ki khabar rozana di Ja rahi hai. Asha hai ki humari ye Website bhi safal ho. Dhanywad ЁЯСН...

Previous Post
Next Post