Data kaise bacahye Background data ko band karke Android mobail me. How to save data with Disallow Background data in Android.

      Ham bahoot saare apps ka istemaal karte hai alag alag kamo ke liye or vo data bhi istemaal karte hai par kai apps apne ads dikhane or apne phayde ke liye Hamara kimti data istemaal karte hai jisme hamara koi phayda nahi hota hai. Is tarah ke apps Background me kaam karte hai matlab piche kaam karte rahte hao or data ka istemaal karte rahte hai. Jisse hamare data ki khapat badh jati hai. Aaj me aapko isi topic par ek TIP dene wala hoon ki is Piche chal rahe data ya Background data ko use hone se kaise roke.
Android mobile me data kaise bachaye. How to save data in Android mobile

    Ye bahoot simple si trick hai jise bahut kam log hi jante hai or jo jante hai vo iska acchi tarah se phayda bhi utha rahe hai Dosto....
       Jyada samay na lete hue me aapko batata hoo ki kaise Background data ko use hone se bachaye. Taki aap bhi apne Data ka poora  phayda utha sake... to chaliye is trick ko me aapko Step - by - Step batata ho.


Step 1
     Sabse pahle aap Apne Android mobail ki settings me jao...

Step 2

          Ab aap Data usage par click kare.
Android mobile me data kaise bachaye. How to save data in Android mobile

Step 3
         
           Ab aapke saamne vo apps aa jayenge jo Data use karte hai. Aap usme se koi bhi app par click kar lijiye.
Android mobile me data kaise bachaye. How to save data in Android mobile

Step 4
 
Android mobile me data kaise bachaye. How to save data in Android mobile
     

  1.   Ye uska Foreground data hai jo aap uske saame use karte ho.
  2.  Ye uske Background data ki value hai jo vo app aapke piche use karta hai. Agar Background data ki value Foreground Data se jyada hi to aap uski block kijiye               
  3. Block karne ke liye aap is par click kijiye jaisa image me diya hua hai...


          Click karne ke baad us app ka Background data use hona band ho jayega...aap isi tarah or apps ka background data band kar sakte hai..

Agar aap sabhi apps ka Background data ko Block karna chahte hai to aage padhe...

Sabhi apps ka Background data band kaise kare


Step 1
Sabse pahle aap Android phone ki settings me jaiye or Data usage par click kijiye.

 Step 2

Android mobile me data kaise bachaye. How to save data in Android mobile

           1.Image me diye is button par click kare
           2. Ab aap Restrict Background data par click kare
           3. Ab OK ke button par click kijiye.

     Ab aapke saare apps ka Background data use hona band ho jayega.

Warning - agar aap background data band karte hai to aapka saara  background data use hona band ho jayega matlab agar aapne kuch download hone ko rakha hai or agar aap usi samay koi dusre kaam kar rahe hai ti aap jo download kar rahe hai vo download hona band ho jayega. Kyonki vo download background me ho raha hai...or aapko messenger apps ki taraf se bhi koi message nahi aayega jab tak aap usko open nahi kar lete hai.

Background data allow kaise kare.
Agar aap background data use hona allow karna chahte hai to simple aapko ek aisi notification aayegi us par click karoge to aapka background data use hona allow ho jayega..
Aapko kuch is tarah ki notification aayegi -


Ye bhi padhe-



 Aapko ye jaankari kaisi lagi comment karke jaroor bataye or hame follow karke aap nayi nayi tricks aasani se sikh sakte hai. Hamare saath jude rahiye or nayi nayi tricks Sikhte raho

           Dhanywad!


SHARE THIS

Author:

Hello Dosto, Mera naam Ritik Kadole hai. "Hindi Me Tek" meri dusri website hai. Pahli website ke safal hone ke baad ab me is website par aapko Technology se judi har nayi jankari di jayegi. Is jamane me Taza khabre pata hona jaroori ho gaya hai isliye is site par har tek (technology) ki khabar rozana di Ja rahi hai. Asha hai ki humari ye Website bhi safal ho. Dhanywad ЁЯСН...

Previous Post
Next Post