Hello friends, aaj me aapko bataoonga ki kaise hum image ka size kam kar sakte hai. Size se matlab vo kitni storage leti hai usse hai. Jyada High quality image jyada storage leti hai isliye aap use kam karke uski size kam kar sakte hai jaise koi image 1 Mb ki hai to use aap 200 kb ka bana sakte hai. Isse uski quality par thoda hi pharak padega.
Agar aap ek blogger hai or posts me images ka use karte hai to aapko sari photo compress karke upload karni chahiye isse hoga ye ki aapki post or aapki site fast load hogi or aapke visitors ke data ki bhi bachat hogi. Me bhi apni post ki images ko compress karke upload karta hoo. Kai photo 1 MB tak ho jate hai use compress karke 150 kb tak karte hai. Isse mere visitors ki 850 kb ki bachat ho jati hai. He na kamaal ki baat. Chaliye ab jaan lete hai ki kaise kisi photo ka size kam karte hai ya kaise image compress karte hai...
Step 1
Sabse pahle aapko ek app download karna hoga jiska naam hai Photo Compress. Aap ise niche diye Download button par click karke download kar sakte ho.
Step 2
Ab ise download karke open karle. Uske baad niche image me diye is button par click kare
Step 3
Ab aapko gallery me se ek image ko salact karna hai...
Step 4
Image salact karne ke baad ab image me diya hua ye page khulega jisme aapko Compress image par click karna hai.
1. Photo ko kitna compress karna hai uska level salact kare
2. Ab compress par click kar de.
Ab aapke photo ki size kam ho jayegi. .
Aap is image me dekh sakte hai ki size kitna kam hua hai. |
Agar aap blogger hai to blig ki saari photos compress karke upload kare taki aapka page fast load ho kyonki SEO is baat ka bhi dhyaan rakhta hai ki aapka page ka loading time kitna hai... aapko ye jaankari kaisi lagi ye comment me jaroor likhe. Agar aapke paas isse bhi acchi trick hai to jaroor batayen...