Hindi me HTML sikhe (Lesson-2)



          Hello my dear Friends.. aaj me aapke liye le kar aaya hoo HTML lessons 2. Pichle lesson matlab HTML lessons 1 me hamne kya sikha tha aapko pata hai na agar nahi padha to pahla lesson jaroor padhiye dosto.
Lesson 2 padhne se pahle me aapko bata du ku aapko HTML step by step sikna hoga kyonki agar aap direct Doosra padhav par aa gaye to pahle padhav ka maja nahi le payenge or aap bahoot si chiji nahi sikh payenge. To continue karte hau HTML lesson 2 ...

         Hamesha aapko HTML document <html> se shuru karna hoga chahe aap koi website ka template hi kyon na bana rahe ho.

Is example me mene <html> se </html>  tak likha matlab mene opening tags ka istemaal karke open kiya or closing ka istemaal karke close kiya iske baare me mene aapko Pahle bhi bataya tha.
         
            head tag me aap non-Vishal malarial daal sakte ho matlab usme aapko apne page ki heading dalni hai. head ke andar aap title tag ka istmaal karke apne Page ka Title daal sakte ho. Title daalne se aapka document ya template SEO ( search engine optimization ) me index hota hai jaise Google ke serch engine me aapke website ke page ka aana. Matlab title dalna jaroori hai.

               head ke baad mene body tag ka istemaal kiya hai isme aap visual chije jaise image,link ya kuch or bhi daal sakte ho or isme aap apne page ke contant likh sakte ho. Link,images Iske baare me main aapko baad me bataoonga pahle dusre tags ka istemaal karna sikhte hai .

HTML ko sikne ka tarika hai ki ise baar baar trial karna hota hai ki aapka coad kaam kar raha hai ya nahi.

              To baar baar trial karne se hi aapka experience badhega or aap acche web-designer  ban paoge

In sab examples ko padha kar koi bhi ek accha web-designer nahi ban sakta hai iske liye experience or mehnat chahiye.

        Iske liye aapko lagataar sikna hoga creative banne ke liye.

        To gahre paani me se bahar aaiye or Do feet upar uthiye.

        Okay, to jo aapne sikha hai uske experiments karne se hi kuch hoga ye yaad rakhiye.

          Try kijiye ki aap khud ke pages bana sakte hai ki nahi. Abhi bahoot kuch sikhna baaki hai...
Isse aap ek simple sa page bana sakte hai


Strong tag


Pahle mene aapko em tag ke baare me bataya tha. em ka matlab Emphasis matlab prabhavi ya hum jiskk mahatv dete hai vo. Aap usko strong emphasis ke liye Strong tag ka bhi prayog kar sakte hai.


<br /> ka prayog.



             Isme opening tag nahi hota. Iska prayog line ko break karne ya todne ke liye kiya jata hai.


<hr /> ka prayog



                 Iska prayog hum ek horizontal line ke liye karte hai. ("hr" "horizontal rule" ka short form hai ) jaise mene niche line di hui hai


       To dosto aapko hamara ye wala lesson kaisa kaga comment karke jaroor bataiye. Ir haan aage aane wale articals or bhi jyada acche hai or important bhi. To padhte rahiye or sikhte rahiye hamare  saath......
     Keep learning....&  Dhanywad!

SHARE THIS

Author:

Hello Dosto, Mera naam Ritik Kadole hai. "Hindi Me Tek" meri dusri website hai. Pahli website ke safal hone ke baad ab me is website par aapko Technology se judi har nayi jankari di jayegi. Is jamane me Taza khabre pata hona jaroori ho gaya hai isliye is site par har tek (technology) ki khabar rozana di Ja rahi hai. Asha hai ki humari ye Website bhi safal ho. Dhanywad ЁЯСН...

Previous Post
Next Post